Kalma Kya Hai? – Ek Nazar Mein
“Kalma” ka matlab hai “ghoshana” ya “bayaan” aur yeh Urdu ya Arabi mein istemal hota hai. Yeh Musalmanon ke liye aham hota hai kyonki yeh unka imaan aur aqeeda ka izhaar hai. “Kalma” ka sabse mashhoor aur zaroori hissa hai “La ilaaha illallah, Muhammadur Rasoolullah” jo kehta hai ke Allah ke siwa koi maabood nahin hai, aur Muhammad (sallallahu alayhi wa sallam) unke Rasool hain. Chhah kalmaat ko humari rozana zindagi mein amal mein lana aur unke asli fayde haasil karne ka khataranaak hai. Humein aadat banani chahiye ke hum in kalmaat ko baar-baar padhte rahen, aur har namaz ke baad inhen padhna chahiye.
Kalma Ki Fazilat: Islami Taleemaat Mein
Chah kalmat ko kisi bhi Islami tehreer mein ek saath zikar nahi kiya gaya hai; ye kalmat Quran Sharif aur Hadith se intikhab kiye gaye hain. Pehla aur doosra kalma imaan ka izhaar hai aur Islam ke pehle rukn (Tauheed) ko mazboot karte hain, teesra aur chautha Allah (Subhanahu Wa Ta’ala) ko yaad karne ke husn tareeqe hain, aur paanchwa aur chhatha kalma uski rehmat aur maghfirat ko dawat dete hain
Kalma Ki Ahmiyat: Roohani Fawaid
- Kalma imaan mein aur Allah (Subhanahu Wa Ta’ala) mein yaqeen ki mazbooti deti hain aur ise mazeed taqwa barhati hain.
- Kalma zahiri aur chhupi hui roohaniyat mein kamiyabi ata farmati hai.
- Tauheed ka samajh aur Allah ki wahdaniyat aur azmat mein aur Allah par imaan lane mein mazeed mazbooti paida karti hai.
- Bohat zyada jismani sukoon aur dimaghi sukoon paida karti hai.
- Insaan ke ikhlaaq ko behtar banati hai aur tawazoo aur shukr guzari ka nashunuma karti hai.
- Duniya mein bhi kamiyabi milti hain aur akhirat mein bhi kamiyabi hasil hoti hai.
Kalma Parhne Ka Tareeqa
Jaise aam dua ya namaz padhne wale surat ya Quran parhte hain, usi tarah kalma ko bhi padha jayega. Chalte phirte ya koi bhi kaam kar rahe hain, in kalmat ko parhna, ismein bohot barkat aur neki hai.
Rozana Zindagi Mein Kalma Ka Amal
Har namaz ke baad ise padhen ye hamare imaan ko mazboot karta hai. Ye Musalmanon ke liye bohot ahem hai jo momin banna chahte hain aur Allah ka qurb hasil karna chahte hain.
Pehla Kalma Tayyab
La ilaha illallah Muhammadur Rasoolullah
Tarjuma: Allah ke siwa koi mabood nahi aur Hazrat Muhammad (SAW) Allah ke Rasool hain.
Dusra Kalma Shahadat
Ashhadu Allah ilaha illallah wahdahu la sharika lahu wa ashhadu anna Muhammadan abduhu wa rasooluhu.
Tarjuma: Main gawahi deta hoon ke Allah ke siwa koi mabood nahi, wah akela hai, uska koi shareek nahi, aur main gawahi deta hoon ke Hazrat Muhammad (SAW) Allah ke nek bande aur aakhri Rasool hain.
Teesra Kalma Tamjeed
Subhanallahi walhamdulillahi wa la ilaha illallahu wallahu akbar, wa la hawla wa la quwwata illa billahil aliyil azeem.
Tarjuma: Allah paak hai aur sab tareef Allah hi ke liye hai. Aur Allah paak hai, uske siwa koi mabood nahi. Ibaadat ke layak to sirf Allah hai. Aur Allah sab se bara hai. Aur kisi mein na to taqat hai! Lekin agar koi taqat aur quwwat wala hai to wo Allah hi hai, jo bohot shaan wala aur sab se aala hai.
Choutha Kalma Tauheed
La ilaha illallahu wahdahu la sharika lahu, lahul mulk wa lahul hamd, yuhyi wa yumitu, wa huwa hayyun la yamutu abadan abada, zul jalali wal ikram, biyadihil khair, wa huwa ala kulli shay’in qadeer.
Tarjuma: Allah ke siwa koi mabood nahi, ibaadat ke layak nahi! Wo ek hai, uska koi shareek nahi, sab kuch usi ka hai. Aur saari tareefein Allah hi ke liye hai. Wahi zinda karta hai aur wahi maarta hai! Aur use kabhi maut nahi aane wali. Wo bade jalal aur buzurgi ka rakhne wala hai. Allah ke haathon mein har tarah ki bhalai hai aur wo har cheez par qadir hai.
Panchwa Kalma Astaghfar
Astaghfirullah Rabbi min kulli zambin aznabtuhu amdan au khata’an sirran au alaniyatan wa atubu ilaihi minaz-zambi-l-lazi la a’lamu, innaka anta allamul ghaibi wa sattarul uyubi wa ghaffaruz zunubi wa la hawla wa la quwwata illa billahil aliyil azeem.
Tarjuma: Main apne parwardigar se apne tamaam gunahon ki magfirat maangta hoon jo maine jaan bujhkar kiye ya bhoolkar kiye, yeh chhup kar kiye ya khullam khulla kiye! Aur tauba karta hoon main us gunahon se jo main jaanta hoon aur us gunahon se jo main nahi jaanta. Yeh Allah beshak tu ghaib ki baatein jaanne wala hai aur aibon ko chhupane wala hai! Aur gunahon ko bakshne wala hai. Aur humein gunahon se bachne aur neki karne ki taqat nahi Allah ke baghair, jo ki bohot buland wala hai.
Chhata Kalma Astaghfar
Allahumma inni a’uzubika min an ushrika bika shay’an wa ana a’lamu bihi wa astaghfiruka lima la a’lamu bihi tubtu anhu wa tabarr’atu min al-kufri wash-shirki wal-kizbi wal-ghibati wal-bid’ati wan-namimati wal-fawahishi wal-buhtani wal-ma’asi kulliha wa aslamtu wa aqulu la ilaha illallahu Muhammadur Rasoolullah.
Tarjuma: Allah main teri panah maangta hoon is baat se ke main kisi ko jaan bujhkar tera shareek banao aur bakshish maangta hoon tujhse us shirk ki jisko main nahi jaanta, aur main har tarah ke kufr aur shirk se tauba ki, alag hue jhooth se aur ghibat se aur bidat se aur chughli se aur behayaiyon se aur bohtan se aur tamaam gunahon se. Aur main Islam laaya aur main kehta hoon ke Allah ke siwa koi ibaadat ke laayak nahi aur Hazrat Muhammad (SAW) Allah ke Rasool hain.
Kalma imaan aur ruhani sukoon ka zaroori hissa hai. Har Musalman ko chahie ke woh in kalmaat ko samjhe aur apni rozana zindagi mein amal mein laaye. Islamic Jankari par, aapko in sab kalmaat ke ma’ane aur unki ahmiyat ke bare mein mukammal maloomat milti hai.
Kalma Ki Baramain Ahem Sawaalat
Kalma kaise parha jata hai?
Jaise aam surah parha jata hai waise hi parha jayega.
Kalma ka matlab kya hota hai?
Kalma ka matlab hai bayan karna.
Paanch kalme kaun kaun se hain?
- Pehla Kalma Tayyab.
- Dusra Kalma Shahadat.
- Teesra Kalma Tamjeed.
- Chautha Kalma Tauheed.
- Panchwa Kalma Astaghfar.
- Chhata Kalma Astaghfar.
Kalma kitna hota hai?
Kalma 6 hote hain.
Kalma Parhne Ka Sahi Tareeqa Kya Hai?
Har namaz ke baad padhi jaye.
Rozana Zindagi Mein Kalma Parhna Kyun Zaroori Hai?
Kalma padhne se jismani aur ruhani sukoon ata hota hai.
Kalma Ko Samajhne Ka Sahi Tareeqa Kya Hai?
Kalma ka tarjuma jane aur usko samjhe.
Kalma Aur Eeman Ka Talluq Kya Hai?
Kalma eeman ki takeed karti hai, gawahi deti hai, eeman ko mazboot karti hai.